yunhi dukh ho jawenge kam shahzade
yūñhī dukh ho jāveñge kam shahzāde
aa jā sukh ke ḳhvāb buneñ ham shahzāde
apne hosh gañvā baiThī huuñ phir se aaj
soch rahī huuñ tujh ko har dam shahzāde
shahzādī ke ḳhvāb azaab na kar jaanā
ho jāveñgī āñkheñ pur-nam shahzāde
merī ruuh meñ terī yaad utartī hai
haule haule maddham maddham shahzāde
aisā saḳht takallum āḳhir kyoñ bolo
kyoñ rahte ho barham barham shahzāde
kab tak tanhā tanhā TūTeñ bikhreñge
ruuh meñ ruuh ko hone de zam shahzāde
shahzāde kuchh aur na māñge shahzādī
nikle terī bāñhoñ meñ dam shahzāde
rafta rafta ho ga.e āḳhir tere naam
merā jīvan mere mausam shahzāde
tujh se hī mānūs huā so tū jaane
jag kyā jaane dil kā aalam shahzāde
aañsū tujh ko DhūñDeñ haiñ dīvāna-vār
shahzādī kī āñkheñ haiñ nam shahzāde
kab tak tanhā chuntī jaa.e zaḳhm 'rabāb'
rakh mīThe lafzoñ ke marham shahzāde
yunhi dukh ho jawenge kam shahzade
aa ja sukh ke KHwab bunen hum shahzade
apne hosh ganwa baiThi hun phir se aaj
soch rahi hun tujh ko har dam shahzade
shahzadi ke KHwab azab na kar jaana
ho jawengi aankhen pur-nam shahzade
meri ruh mein teri yaad utarti hai
haule haule maddham maddham shahzade
aisa saKHt takallum aaKHir kyon bolo
kyon rahte ho barham barham shahzade
kab tak tanha tanha TuTen bikhrenge
ruh mein ruh ko hone de zam shahzade
shahzade kuchh aur na mange shahzadi
nikle teri banhon mein dam shahzade
rafta rafta ho gae aaKHir tere nam
mera jiwan mere mausam shahzade
tujh se hi manus hua so tu jaane
jag kya jaane dil ka aalam shahzade
aansu tujh ko DhunDen hain diwana-war
shahzadi ki aankhen hain nam shahzade
kab tak tanha chunti jae zaKHm 'rabab'
rakh miThe lafzon ke marham shahzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.