yunhi raha jo buton par nisar dil mera
yūñhī rahā jo butoñ par nisār dil merā
karegā mujh ko zamāne meñ ḳhvār dil merā
chalī chalī mizha-e-ashk-bār aañkh mirī
jalā jalā nafas-e-sho.ala-bār dil merā
ajiib mūnis o hamdard o zī-muravvat thā
ġharīq-e-rahmat-e-parvardigār dil merā
vafūr-e-sharm se vaañ ijtināb madd-e-nazar
hujūm-e-shauq se yaañ be-qarār dil merā
banā diyā use ḳhud-bīn o ḳhud-numā 'beḳhud'
huā hai ā.īna-e-husn-e-yār dil merā
yunhi raha jo buton par nisar dil mera
karega mujh ko zamane mein KHwar dil mera
chali chali mizha-e-ashk-bar aankh meri
jala jala nafas-e-shoala-bar dil mera
ajib munis o hamdard o zi-murawwat tha
ghariq-e-rahmat-e-parwardigar dil mera
wafur-e-sharm se wan ijtinab madd-e-nazar
hujum-e-shauq se yan be-qarar dil mera
bana diya use KHud-bin o KHud-numa 'beKHud'
hua hai aaina-e-husn-e-yar dil mera
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 182)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.