Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi uljhi rahne do kyun aafat sar par late ho

Imdad Imam Asar

yunhi uljhi rahne do kyun aafat sar par late ho

Imdad Imam Asar

MORE BYImdad Imam Asar

    yūñhī uljhī rahne do kyuuñ aafat sar par laate ho

    dil uljhan baḌhtī hai jab zulfoñ ko suljhāte ho

    chhup chhup kar tum raat ko sāhib ġhairoñ ke ghar jaate ho

    kaisī hai ye baat kaho to kyūñ-kar muñh dikhlāte ho

    sunte ho kab baat kisī apnī haT par rahte ho

    hazrat-e-dil tum apne kiye par āḳhir ko pachhtāte ho

    muddat par to aa.e ho ham dekh leñ tum ko bhar ke

    aa.e ho to Thahro sāhib roz yahāñ kyā aate ho

    kaisā aanā kaisā jaanā mere ghar kyā aaoge

    ġhairoñ ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho

    āñkheñ jhapkī jaatī haiñ matvālī sūrat hai

    jaage kis sohbat meñ jo niiñd ke itne maate ho

    dil se 'asar' kyā kahte ho hai jaan saudā ishq-e-butāñ

    tum bhī to dīvāne ho dīvāne ko samjhāte ho

    yunhi uljhi rahne do kyun aafat sar par late ho

    dil ki uljhan baDhti hai jab zulfon ko suljhate ho

    chhup chhup kar tum raat ko sahib ghairon ke ghar jate ho

    kaisi hai ye baat kaho to kyun-kar munh dikhlate ho

    sunte ho kab baat kisi ki apni haT par rahte ho

    hazrat-e-dil tum apne kiye par aaKHir ko pachhtate ho

    muddat par to aae ho hum dekh len tum ko ji bhar ke

    aae ho to Thahro sahib roz yahan kya aate ho

    kaisa aana kaisa jaana mere ghar kya aaoge

    ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din pate ho

    aankhen jhapki jati hain matwali ki si surat hai

    jage kis ki sohbat mein jo nind ke itne mate ho

    dil se 'asar' kya kahte ho hai jaan ka sauda ishq-e-butan

    tum bhi to diwane ho diwane ko samjhate ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now