yusuf hi zar-KHaridon mein firoz-baKHt tha
yusuf hi zar-KHaridon mein firoz-baKHt tha
Sher Mohammad Khan Iman
MORE BYSher Mohammad Khan Iman
yūsuf hī zar-ḳharīdoñ meñ fīroz-baḳht thā
qīmat meñ jis kī phir vahī shāhī kā taḳht thā
majlis meñ terī kāvish-e-mizhgāñ ke haath se
ġhuncha namat har ek jigar laḳht laḳht thā
aañsū to chiir kar saf-e-mizhgāñ nikal gayā
laḌkā thā ḳhurd-sāl pe dil kā karaḳht thā
tujh pe gudāz dil hai sarāpā ai sham.a-rū
juuñ naḳhl-e-mom baaġh meñ har ik daraḳht thā
'īmān' āfrīñ hai ki us bad-mizāj se
yārāne kā nibāhnā dushvār saḳht thā
yusuf hi zar-KHaridon mein firoz-baKHt tha
qimat mein jis ki phir wahi shahi ka taKHt tha
majlis mein teri kawish-e-mizhgan ke hath se
ghuncha namat har ek jigar laKHt laKHt tha
aansu to chir kar saf-e-mizhgan nikal gaya
laDka tha KHurd-sal pe dil ka karaKHt tha
tujh pe gudaz dil hai sarapa ai shama-ru
jun naKHl-e-mom bagh mein har ek daraKHt tha
'iman' aafrin hai ki us bad-mizaj se
yarane ka nibahna dushwar saKHt tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.