zad-e-rah mukammal hai
zād-e-rah mukammal hai
hausla mukammal hai
ḳhvāb mar chuke haiñ sab
sāneha mukammal hai
ishq jo kiyā tum se
bā-ḳhudā mukammal hai
tum kaho jo kahnā hai
taḳhliya mukammal hai
ab kahīñ na bhaTkūñgā
ye ḳhudā mukammal hai
maañ ne haath uThā.e haiñ
ye duā mukammal hai
tum ne jo sunā.ī hai
baat kyā mukammal hai
ab kisī ko kyā dekhūñ
dil diyā mukammal hai
us kī aañkh kahtī hai
shā.era mukammal hai
ek bosa kaafī hai
nāshta mukammal hai
zad-e-rah mukammal hai
hausla mukammal hai
KHwab mar chuke hain sab
saneha mukammal hai
ishq jo kiya tum se
ba-KHuda mukammal hai
tum kaho jo kahna hai
taKHliya mukammal hai
ab kahin na bhaTkunga
ye KHuda mukammal hai
man ne hath uThae hain
ye dua mukammal hai
tum ne jo sunai hai
baat kya mukammal hai
ab kisi ko kya dekhun
dil diya mukammal hai
us ki aankh kahti hai
shaera mukammal hai
ek bosa kafi hai
nashta mukammal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.