zahir ki aankh se na tamasha kare koi
zahir ki aankh se na tamasha kare koi
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
zāhir kī aañkh se na tamāshā kare koī
ye dil hai is ko dil se hī dekhā kare koī
shor-e-kamāl-e-husn hai rusvā.ī-e-nigāh
phir kyoñ tumhāre husn kā charchā kare koī
bas ik nigāh-e-mehr-o-mudāvāt ke evaz
maiñ jaan bechtā huuñ ye saudā kare koī
kyā is shab-e-firāq kī koī sahar nahīñ
kab tak tumhāre hijr meñ taḌpā kare koī
zahir ki aankh se na tamasha kare koi
ye dil hai is ko dil se hi dekha kare koi
shor-e-kamal-e-husn hai ruswai-e-nigah
phir kyon tumhaare husn ka charcha kare koi
bas ek nigah-e-mehr-o-mudawat ke ewaz
main jaan bechta hun ye sauda kare koi
kya is shab-e-firaq ki koi sahar nahin
kab tak tumhaare hijr mein taDpa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.