zahir mein bhi kya kya parda-dari hai
zāhir meñ bhī kyā kyā parda-dārī hai
duniyā-dārī purkārī ayyārī hai
paañv tale ḳhud-dārī aur safar aage
ruk nahīñ sakte ham kaisī lāchārī hai
ek musalsal dauḌ meñ shāmil ham bhī haiñ
shauq nahīñ ye ik zehnī bīmārī hai
bād-e-muḳhālif puure zor se bahtī jaa.e
us jānib se bhī puurī tayyārī hai
maazī meñ tum jiit ga.e mujh se 'betāb'
mustaqbil kī jañg abhī tak jaarī hai
zahir mein bhi kya kya parda-dari hai
duniya-dari purkari ayyari hai
panw tale KHud-dari aur safar aage
ruk nahin sakte hum kaisi lachaari hai
ek musalsal dauD mein shamil hum bhi hain
shauq nahin ye ek zehni bimari hai
baad-e-muKHalif pure zor se bahti jae
us jaanib se bhi puri tayyari hai
mazi mein tum jit gae mujh se 'betab'
mustaqbil ki jang abhi tak jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.