zaat kā merī jo chehra hotā
mere ghar meñ nahīñ shīsha hotā
ye kuaañ itnā na gahrā hotā
jo kisī ne kabhī jhāñkā hotā
tum ne paude ko thā saa.e meñ rakhā
dhuup meñ rakhte to zinda hotā
jo añdheroñ meñ ujāle palte
to ujāloñ se añdherā hotā
tū haqīqat thā nazar aayā nahīñ
ḳhvāb ban jaatā to dekhā hotā
tū jo aañsū na banā hotā agar
aañkh se merī na Tapkā hotā
us ke maañ baap nahīñ hai shāyad
varna us meñ kahīñ bachcha hotā
terī mahfil ye na hotī jo 'navā'
tū kahīñ kone meñ baiThā hotā
zat ka meri jo chehra hota
mere ghar mein nahin shisha hota
ye kuan itna na gahra hota
jo kisi ne kabhi jhanka hota
tum ne paude ko tha sae mein rakha
dhup mein rakhte to zinda hota
jo andheron mein ujale palte
to ujalon se andhera hota
tu haqiqat tha nazar aaya nahin
KHwab ban jata to dekha hota
tu jo aansu na bana hota agar
aankh se meri na Tapka hota
us ke man bap nahin hai shayad
warna us mein kahin bachcha hota
teri mahfil ye na hoti jo 'nawa'
tu kahin kone mein baiTha hota
Source :
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.