zat mein maujud maujon ki rawani se uTha
zaat meñ maujūd maujoñ kī ravānī se uThā
zindagī kā lutf tarz-e-zindagānī se uThā
yā mire logoñ ko de yā-rab samā.at kā shu.ūr
yā mirī āvāz gosh-e-lā-ma.ānī se uThā
ā.īne ko aks kī zanjīr se āzād kar
chehragī ko ḳhāl-o-ḳhad kī tarjumānī se uThā
ik na.ī hī shakl paidā kar shikast-o-reḳht se
ik nayā mafhūm apnī rā.igānī se uThā
ek baazū se uThā tū mash.al-e-manzil 'samīr'
aur safar kā bojh apne dast-e-sānī se uThā
zat mein maujud maujon ki rawani se uTha
zindagi ka lutf tarz-e-zindagani se uTha
ya mere logon ko de ya-rab samaat ka shuur
ya meri aawaz gosh-e-la-maani se uTha
aaine ko aks ki zanjir se aazad kar
chehragi ko KHal-o-KHad ki tarjumani se uTha
ek nai hi shakl paida kar shikast-o-reKHt se
ek naya mafhum apni raigani se uTha
ek bazu se uTha tu mashal-e-manzil 'samir'
aur safar ka bojh apne dast-e-sani se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.