zaban aur KHanjar samajhne lage hain
zabāñ aur ḳhanjar samajhne lage haiñ
ki chehroñ meñ antar samajhne lage haiñ
hameñ jab se āñkhoñ se dhokā milā hai
ishāre barābar samajhne lage haiñ
nahīñ denā nāloñ ko tarjīh itnā
ye ḳhud ko samundar samajhne lage haiñ
na mummy kī lorī na daadī ke qisse
makānoñ ko kyoñ ghar samajhne lage haiñ
ġharībī ne ham ko to samjhāyā yuuñ hai
samajhte nahīñ par samajhne lage haiñ
zaban aur KHanjar samajhne lage hain
ki chehron mein antar samajhne lage hain
hamein jab se aankhon se dhoka mila hai
ishaare barabar samajhne lage hain
nahin dena nalon ko tarjih itna
ye KHud ko samundar samajhne lage hain
na mummy ki lori na dadi ke qisse
makanon ko kyon ghar samajhne lage hain
gharibi ne hum ko to samjhaya yun hai
samajhte nahin par samajhne lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.