zaban band rakhen aur tum se Dar jaen
zabān band rakheñ aur tum se Dar jaa.eñ
ye baat zehn meñ aane se qabl mar jaa.eñ
muāfī māñgne jaa.eñ ḳhudā ke ghar lekin
ḳhatā haram meñ huī ho to phir kidhar jaa.eñ
maiñ ab badal nahīñ saktā mizāj jiine kā
ab aap chāheñ to Thahreñ vagarna ghar jaa.eñ
bahār-e-nau meñ na.e gul to khil rahe haiñ magar
jhaḌī haiñ shāḳh se jo pattiyāñ kidhar jaa.eñ
vo jān-būjh ke nāḳhun baḌhā ke rakhte haiñ
ye chāhte hī nahīñ haiñ ki zaḳhm bhar jaa.eñ
milā hai taḳht jo jamhūriyat meñ bānar ko
to un se kyā sabhī jañgal ke sher Dar jaa.eñ
zaban band rakhen aur tum se Dar jaen
ye baat zehn mein aane se qabl mar jaen
muafi mangne jaen KHuda ke ghar lekin
KHata haram mein hui ho to phir kidhar jaen
main ab badal nahin sakta mizaj jine ka
ab aap chahen to Thahren wagarna ghar jaen
bahaar-e-nau mein nae gul to khil rahe hain magar
jhaDi hain shaKH se jo pattiyan kidhar jaen
wo jaan-bujh ke naKHun baDha ke rakhte hain
ye chahte hi nahin hain ki zaKHm bhar jaen
mila hai taKHt jo jamhuriyat mein banar ko
to un se kya sabhi jangal ke sher Dar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.