zaban-e-haal pe sabr-o-raza ke lahje mein
zabān-e-hāl pe sabr-o-razā ke lahje meñ
navā-e-ġham hai tire be-navā ke lahje meñ
ye pā-e-jabr se roñdī huī tamannā.eñ
haiñ mahv-e-girya-e-paiham duā ke lahje meñ
havā kā shor girāñ hai samā.at-e-gul par
so maiñ huuñ tujh se muḳhātab sabā ke lahje meñ
vaqār-e-ahd-e-mohabbat lihāz-e-shart-e-vafā
shikast-ḳhurda paḌe haiñ anā ke lahje meñ
ye sher yūñhī nahīñ mo'atabar hue logoñ
'vafā' kā rañg hai ibn-e-vafā ke lahje meñ
zaban-e-haal pe sabr-o-raza ke lahje mein
nawa-e-gham hai tere be-nawa ke lahje mein
ye pa-e-jabr se rondi hui tamannaen
hain mahw-e-girya-e-paiham dua ke lahje mein
hawa ka shor giran hai samaat-e-gul par
so main hun tujh se muKHatab saba ke lahje mein
waqar-e-ahd-e-mohabbat lihaz-e-shart-e-wafa
shikast-KHurda paDe hain ana ke lahje mein
ye sher yunhi nahin mo'atabar hue logon
'wafa' ka rang hai ibn-e-wafa ke lahje mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.