zaban ka zawiya lafzon ki KHu samajhta hai
zabāñ kā zāviya lafzoñ kī ḳhū samajhtā hai
maiñ us ko aap pukārūñ vo tū samajhtā hai
maiñ us kī bazm meñ bhī sarfarāz rahtā huuñ
merā nasab mirī azmat adū samajhtā hai
munāfiqat se azīzoñ ko zer kartā hai
aur us meñ apnī baḌī aabrū samajhtā hai
suḳhan ke harf pe rakhtā hai harf-e-jāñ kā madār
hayā ko aañkh kī durd-e-subū samajhtā hai
rafūgarāñ mire zaḳhm-e-anā se aajiz haiñ
ki mere ḳhuun kī tezī rafū samajhtā hai
zaban ka zawiya lafzon ki KHu samajhta hai
main us ko aap pukarun wo tu samajhta hai
main us ki bazm mein bhi sarfaraaz rahta hun
mera nasab meri azmat adu samajhta hai
munafiqat se azizon ko zer karta hai
aur us mein apni baDi aabru samajhta hai
suKHan ke harf pe rakhta hai harf-e-jaan ka madar
haya ko aankh ki durd-e-subu samajhta hai
rafugaran mere zaKHm-e-ana se aajiz hain
ki mere KHun ki tezi rafu samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.