zaban karti hai dil ki tarjumani dekhte jao
zaban karti hai dil ki tarjumani dekhte jao
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
zabāñ kartī hai dil kī tarjumānī dekhte jaao
pukār uTThī hai merī be-zabānī dekhte jaao
kahāñ jaate ho ulfat kā fasāna chheḌ kar Thahro
pahuñchtī hai kahāñ ab ye kahānī dekhte jaao
tirī zālim mohabbat ne jise bad-nām kar Daalā
usī mazlūm kī rusvā javānī dekhte jaao
sunātā hai koī mahrūmiyoñ kī dāstāñ sun lo
ujaḌtī hai kisī kī zindagānī dekhte jaao
vo jis kī dil-nashīñ nazroñ meñ dekhī thī hañsī tum ne
usī ke āñsuoñ kī ḳhūñ-fishānī dekhte jaao
zaban karti hai dil ki tarjumani dekhte jao
pukar uTThi hai meri be-zabani dekhte jao
kahan jate ho ulfat ka fasana chheD kar Thahro
pahunchti hai kahan ab ye kahani dekhte jao
teri zalim mohabbat ne jise bad-nam kar Dala
usi mazlum ki ruswa jawani dekhte jao
sunata hai koi mahrumiyon ki dastan sun lo
ujaDti hai kisi ki zindagani dekhte jao
wo jis ki dil-nashin nazron mein dekhi thi hansi tum ne
usi ke aansuon ki KHun-fishani dekhte jao
- Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 217)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.