zaban par aap ka nam aa raha tha
zabāñ par aap kā naam aa rahā thā
ġham-e-hastī ko ārām aa rahā thā
ḳhudā kā shukr terī zulf bikhrī
baḌī garmī kā hañgām aa rahā thā
sitāre so ga.e añgḌā.ī le kar
ki afsāne kā anjām aa rahā thā
taḌap kar maiñ ne tauba toḌ Daalī
tirī rahmat pe ilzām aa rahā thā
'adam' dil kho ke āsūda nahīñ ham
burā thā yā bhalā kaam aa rahā thā
zaban par aap ka nam aa raha tha
gham-e-hasti ko aaram aa raha tha
KHuda ka shukr teri zulf bikhri
baDi garmi ka hangam aa raha tha
sitare so gae angDai le kar
ki afsane ka anjam aa raha tha
taDap kar main ne tauba toD Dali
teri rahmat pe ilzam aa raha tha
'adam' dil kho ke aasuda nahin hum
bura tha ya bhala kaam aa raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.