zaban se dil ka fasana ada kiya na gaya
zabāñ se dil kā fasāna adā kiyā na gayā
ye tarjumāñ to banī thī magar banā na gayā
ham un ke va.ada-e-fardā ko le ke baiThe haiñ
ki jin se aaj kā va.ada vafā kiyā na gayā
amānatan mire siine meñ vo fasāna hai
jo dil kī aañkh se dekhā gayā sunā na gayā
dam-e-āḳhīr vo dene lage hayāt-e-digar
phir ek umr kā ehsān thā liyā na gayā
qusūr-vār haiñ donoñ nigāh ho ki zabāñ
ki jo kahā gayā ai dost vo kahā na gayā
zaban se dil ka fasana ada kiya na gaya
ye tarjuman to bani thi magar bana na gaya
hum un ke wada-e-farda ko le ke baiThe hain
ki jin se aaj ka wada wafa kiya na gaya
amanatan mere sine mein wo fasana hai
jo dil ki aankh se dekha gaya suna na gaya
dam-e-aKHir wo dene lage hayat-e-digar
phir ek umr ka ehsan tha liya na gaya
qusur-war hain donon nigah ho ki zaban
ki jo kaha gaya ai dost wo kaha na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.