zaban walon se ek be-zaban puchhta hai
zabān vāloñ se ik be-zabān pūchhtā hai
makīñ kahāñ ga.e ḳhālī makān pūchhtā hai
ḳhudā yahāñ bhī ta'assub vahāñ bhī hai ki nahīñ
karachi vāloñ se hindostān pūchhtā hai
mujhe ye dhuup ye barsāt kyuuñ satātī hai
ye baat mujh se mirā sā.ebān pūchhtā hai
mizāj pūchhne vāloñ se ḳhairiyat terī
tirā marīz tirā nīm-jān pūchhtā hai
hamāre baare meñ kuchh pūchhtā nahīñ koī
koī nasab to koī ḳhāndān pūchhtā hai
zaban walon se ek be-zaban puchhta hai
makin kahan gae KHali makan puchhta hai
KHuda yahan bhi ta'assub wahan bhi hai ki nahin
karachi walon se hindostan puchhta hai
mujhe ye dhup ye barsat kyun satati hai
ye baat mujh se mera saeban puchhta hai
mizaj puchhne walon se KHairiyat teri
tera mariz tera nim-jaan puchhta hai
hamare bare mein kuchh puchhta nahin koi
koi nasab to koi KHandan puchhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.