zabt se kaam le aahon mein asar hone tak
zabt se kaam le aahoñ meñ asar hone tak
sham.a har rang meñ jaltī hai sahar hone tak
vo nasheman bhī to sayyād mirā chhūT gayā
ham bachā.e the jise nazr-e-sharar hone tak
tum na aa.e to shab-e-hijr sitāre chun kar
ham ne palkoñ meñ sajā.e the sahar hone tak
silsila girya-e-paiham kā na chhūTe yā-rab
us ke dāman kā mire ashkoñ se tar hone tak
apnā maslak hai yahī kār-gah-e-razm-e-hayāt
kashmakash jaarī rahe ma.arka sar hone tak
muntazir aap raheñ ham to chale ai 'hamdam'
naḳhl-e-gulzār-e-tamanna meñ samar hone tak
zabt se kaam le aahon mein asar hone tak
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak
wo nasheman bhi to sayyaad mera chhuT gaya
hum bachae the jise nazr-e-sharar hone tak
tum na aae to shab-e-hijr sitare chun kar
hum ne palkon mein sajae the sahar hone tak
silsila girya-e-paiham ka na chhuTe ya-rab
us ke daman ka mere ashkon se tar hone tak
apna maslak hai yahi kar-gah-e-razm-e-hayat
kashmakash jari rahe marka sar hone tak
muntazir aap rahen hum to chale ai 'hamdam'
naKHl-e-gulzar-e-tamanna mein samar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.