zabun-o-KHwar hui hai meri jibillat bhi
zabūn-o-ḳhvār huī hai mirī jibillat bhī
mire nasīb-o-virāsat meñ se imāmat bhī
ajab hirās meñ thā mere mausamoñ se ġhanīm
ki de rahā thā use bhāgne kī mohlat bhī
vo jab bhī aayā kam-o-besh mujh pe vaar gayā
mujhe ye shauq ki laatā kabhī zarūrat bhī
maiñ apne zahr se vāqif huuñ vo samajhtā nahīñ
hai mere kīsa-e-sad-kām meñ sharāfat bhī
samajh rahe the maiñ tanhā huuñ be-basīrat log
pas-e-ġhubār chalī aa rahī thī ḳhilqat bhī
agar salīqe se koī giraft meñ laa.e
maiñ oḌh letā huuñ aksar ridā-e-tohmat bhī
maiñ niiñd meñ thā ki sargoshiyoñ ke raqs meñ thā
udhar thī nāqa-e-umr-r-ravāñ ko ujlat bhī
ai shahsavār mujhe bādshah banā ke to dekh
maiñ kaaT Dālūñgā sar-rishta-e-baġhāvat bhī
usī ne rakh diyā mujh ko sameT kar 'haqqī'
vo jis ke naam se mujh ko milī thī shohrat bhī
zabun-o-KHwar hui hai meri jibillat bhi
mere nasib-o-wirasat mein se imamat bhi
ajab hiras mein tha mere mausamon se ghanim
ki de raha tha use bhagne ki mohlat bhi
wo jab bhi aaya kam-o-besh mujh pe war gaya
mujhe ye shauq ki lata kabhi zarurat bhi
main apne zahr se waqif hun wo samajhta nahin
hai mere kisa-e-sad-kaam mein sharafat bhi
samajh rahe the main tanha hun be-basirat log
pas-e-ghubar chali aa rahi thi KHilqat bhi
agar saliqe se koi giraft mein lae
main oDh leta hun aksar rida-e-tohmat bhi
main nind mein tha ki sargoshiyon ke raqs mein tha
udhar thi naqa-e-umr-r-rawan ko ujlat bhi
ai shahsawar mujhe baadshah bana ke to dekh
main kaT Dalunga sar-rishta-e-baghawat bhi
usi ne rakh diya mujh ko sameT kar 'haqqi'
wo jis ke nam se mujh ko mili thi shohrat bhi
- Book : Imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 101)
- Author : Syed Abul Hasnat Haqqi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.