zahe-nasib ki unki koi KHabar aai
zahe-nasīb ki un kī koī ḳhabar aa.ī
añdherā duur huā raushnī nazar aa.ī
vo ek tum jo kabhī vaqt par nahīñ aa.e
tumhārī yaad har ik shaam vaqt par aa.ī
ḳhayāl-e-duniyā-o-uqbā ġham-e-vajūd-o-adam
ka.ī azaab liye umr-e-muḳhtasar aa.ī
sunī ga.ī hai vahāñ par har ek kī fariyād
bas ek apnī sadā thī jo lauT kar aa.ī
koī na aisā thā jo apne saath ho letā
bas ek dost thī tanhā.ī apne ghar aa.ī
jahāñ ḳhud apne hī saa.e ne saath chhoḌ diyā
rah-e-hayāt meñ aisī bhī rahguzar aa.ī
gunāh kar ke bhī vo pārsā rahā 'nādim'
tamām tohmat-o-rusvā.ī mere sar aa.ī
zahe-nasib ki un ki koi KHabar aai
andhera dur hua raushni nazar aai
wo ek tum jo kabhi waqt par nahin aae
tumhaari yaad har ek sham waqt par aai
KHayal-e-duniya-o-uqba gham-e-wajud-o-adam
kai azab liye umr-e-muKHtasar aai
suni gai hai wahan par har ek ki fariyaad
bas ek apni sada thi jo lauT kar aai
koi na aisa tha jo apne sath ho leta
bas ek dost thi tanhai apne ghar aai
jahan KHud apne hi sae ne sath chhoD diya
rah-e-hayat mein aisi bhi rahguzar aai
gunah kar ke bhi wo parsa raha 'nadim'
tamam tohmat-o-ruswai mere sar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.