zahe-nasib wo pursan hain gham ke maron ke
zahe-nasīb vo pursāñ haiñ ġham ke māroñ ke
mizāj arsh pe haiñ aaj dil-figāroñ ke
jahāñ meñ dīda-e-jauhar-shanās kī hai kamī
ziyāda daam haiñ hīroñ se sañg-pāroñ ke
tulū-e-mehr badalne ko hai nizām-e-falak
kaho ki kuuch kareñ kārvāñ sitāroñ ke
hasīn chāñd kī kirnoñ se khelne vaalī
mire jahāñ meñ ka.ī khet haiñ sitāroñ ke
zahe-nasib wo pursan hain gham ke maron ke
mizaj arsh pe hain aaj dil-figaron ke
jahan mein dida-e-jauhar-shanas ki hai kami
ziyaada dam hain hiron se sang-paron ke
tulu-e-mehr badalne ko hai nizam-e-falak
kaho ki kuch karen karwan sitaron ke
hasin chand ki kirnon se khelne wali
mere jahan mein kai khet hain sitaron ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.