Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahr mein bujhe sare tir hain kamanon par

Ikram Mujeeb

zahr mein bujhe sare tir hain kamanon par

Ikram Mujeeb

MORE BYIkram Mujeeb

    zahr meñ bujhe saare tiir haiñ kamānoñ par

    maut aan baiThī hai jā-ba-jā machānoñ par

    ham burā.ī karte haiñ Dūbte hue din

    tohmateñ lagāte haiñ chuke zamānoñ par

    is hasīn manzar se dukh ka.ī ubharne haiñ

    dhuup jab utarnī hai barf ke makānoñ par

    shauq ḳhud-numā.ī intihā ko pahuñchā hai

    shohratoñ ḳhātir ham saj ga.e dukānoñ par

    kis tarah harī hoñgī e'timād beleñ

    jab munāfiqat sab ne oḌh zabānoñ par

    zahr mein bujhe sare tir hain kamanon par

    maut aan baiThi hai ja-ba-ja machanon par

    hum burai karte hain Dubte hue din ki

    tohmaten lagate hain ja chuke zamanon par

    is hasin manzar se dukh kai ubharne hain

    dhup jab utarni hai barf ke makanon par

    shauq KHud-numai ka intiha ko pahuncha hai

    shohraton ki KHatir hum saj gae dukanon par

    kis tarah hari hongi e'timad ki belen

    jab munafiqat sab ne oDh li zabanon par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now