zahrab rag-e-jaan mein utara hi bahut tha
zahrāb rag-e-jāñ meñ utārā hī bahut thā
bastī ne tirī mujh ko rulāyā hī bahut thā
vīrān hue aah ke asarāt se maskan
logoñ ne mujhe mil ke satāyā hī bahut thā
honā thā kisī roz hameñ yuuñ bhī to paspā
palkoñ pe tujhe ham ne biThāyā hī bahut thā
ik roz to milnā thā jafā-kash ko sila bhī
paiġhām-e-vafā ham ne sunāyā hī bahut thā
girnā thā kisī roz bulandī se hameñ bhī
ḳhvāboñ kā nasha aañkh pe chhāyā hī bahut thā
'ḳhanda' ye jo maiñ detī bhī to qarz kahāñ thā
pahle se azīzoñ pe baqāyā hī bahut thā
zahrab rag-e-jaan mein utara hi bahut tha
basti ne teri mujh ko rulaya hi bahut tha
viran hue aah ke asaraat se maskan
logon ne mujhe mil ke sataya hi bahut tha
hona tha kisi roz hamein yun bhi to paspa
palkon pe tujhe hum ne biThaya hi bahut tha
ek roz to milna tha jafa-kash ko sila bhi
paigham-e-wafa hum ne sunaya hi bahut tha
girna tha kisi roz bulandi se hamein bhi
KHwabon ka nasha aankh pe chhaya hi bahut tha
'KHanda' ye jo main deti bhi to qarz kahan tha
pahle se azizon pe baqaya hi bahut tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.