zaKHm apna sa kaam kar na jae
Interesting Fact
1969
zaḳhm apnā sā kaam kar na jaa.e
phir dard kī lai bikhar na jaa.e
jab us kī nigāh us taraf hai
kyuuñ merī nazar udhar na jaa.e
hai fasl-e-junūñ kī aamad aamad
peḌoñ kā libās utar na jaa.e
ab mujh se na mil ki zahr merā
nas nas meñ tire utar na jaa.e
muddat se milā nahīñ huuñ us se
vo mere baġhair mar na jaa.e
aisā to nahīñ ki lauT jā.ūñ
ab aage jo ham-safar na jaa.e
zaKHm apna sa kaam kar na jae
phir dard ki lai bikhar na jae
jab us ki nigah us taraf hai
kyun meri nazar udhar na jae
hai fasl-e-junun ki aamad aamad
peDon ka libas utar na jae
ab mujh se na mil ki zahr mera
nas nas mein tere utar na jae
muddat se mila nahin hun us se
wo mere baghair mar na jae
aisa to nahin ki lauT jaun
ab aage jo ham-safar na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.