zaKHm dil ka KHun-chakan aisa na tha
zaḳhm dil kā ḳhūñ-chakāñ aisā na thā
ab se pahle jāñ-sitāñ aisā na thā
larza-bar-andām hai qasr-e-yaqīñ
aadmī said-e-gumāñ aisā na thā
phuljhaḌī sī chhūTtī thī rāt-din
shahr-e-jāñ tīra-nishāñ aisā na thā
phuul jo the aarzū ke jal ga.e
sho.ala sho.ala gulistāñ aisā na thā
ziist kī rah meñ balā.eñ thiiñ magar
mere sar par āsmāñ aisā na thā
shāḳh-e-gul thī titliyoñ ke par bhī the
gulshan-e-dil be-amāñ aisā na thā
zaKHm dil ka KHun-chakan aisa na tha
ab se pahle jaan-sitan aisa na tha
larza-bar-andam hai qasr-e-yaqin
aadmi said-e-guman aisa na tha
phuljhaDi si chhuTti thi raat-din
shahr-e-jaan tira-nishan aisa na tha
phul jo the aarzu ke jal gae
shoala shoala gulistan aisa na tha
zist ki rah mein balaen thin magar
mere sar par aasman aisa na tha
shaKH-e-gul thi titliyon ke par bhi the
gulshan-e-dil be-aman aisa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.