zaKHm-e-dil bhi dikha ke dekh liya
zaḳhm-e-dil bhī dikhā ke dekh liyā
bas tumheñ aazmā ke dekh liyā
dāġh-e-dil se bhī raushnī na milī
ye diyā bhī jalā ke dekh liyā
shikve miTte haiñ kyūñkar aap se aap
sāmne un ke jā ke dekh liyā
muzhda ai hasrat-e-dil-e-pur-shauq
us ne phir muskurā ke dekh liyā
aabrū aur bhī huī paanī
ashk-e-hasrat bahā ke dekh liyā
tark-e-ulfat ke sun liye ilzām
rāz-e-dil ko chhupā ke dekh liyā
jo na dekhā thā aaj tak ham ne
dil kī bātoñ meñ aa ke dekh liyā
koī apnā nahīñ yahāñ ai 'arsh'
sab ko apnā banā ke dekh liyā
zaKHm-e-dil bhi dikha ke dekh liya
bas tumhein aazma ke dekh liya
dagh-e-dil se bhi raushni na mili
ye diya bhi jala ke dekh liya
shikwe miTte hain kyunkar aap se aap
samne un ke ja ke dekh liya
muzhda ai hasrat-e-dil-e-pur-shauq
us ne phir muskura ke dekh liya
aabru aur bhi hui pani
ashk-e-hasrat baha ke dekh liya
tark-e-ulfat ke sun liye ilzam
raaz-e-dil ko chhupa ke dekh liya
jo na dekha tha aaj tak hum ne
dil ki baaton mein aa ke dekh liya
koi apna nahin yahan ai 'arsh'
sab ko apna bana ke dekh liya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 187)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.