zaKHm-e-dil tujhse main chhupaun kya
zaḳhm-e-dil tujh se maiñ chhupā.ūñ kyā
dard sah kar bhī muskurā.ūñ kyā
ho ijāzat to terī mahfil meñ
apnī qismat ko āzmā.ūñ kyā
kyuuñ ishāroñ meñ kah rahā hai tū
saaf kah de ki bhuul jā.ūñ kyā
yuuñ to ye daur hai latīfoñ kā
tum kaho to ġhazal sunā.ūñ kyā
aish-o-ishrat ke vāste ai dil
daav īmān kā lagā.ūñ kyā
sab kā kirdār jo sajātā hai
aa.ina vo tujhe dikhā.ūñ kyā
roTī kapḌā makāñ mile sab ko
ḳhvāb aise 'asar' sajā.ūñ kyā
zaKHm-e-dil tujh se main chhupaun kya
dard sah kar bhi muskuraun kya
ho ijazat to teri mahfil mein
apni qismat ko aazmaun kya
kyun ishaaron mein kah raha hai tu
saf kah de ki bhul jaun kya
yun to ye daur hai latifon ka
tum kaho to ghazal sunaun kya
aish-o-ishrat ke waste ai dil
daw iman ka lagaun kya
sab ka kirdar jo sajata hai
aaina wo tujhe dikhaun kya
roTi kapDa makan mile sab ko
KHwab aise 'asar' sajaun kya
- Book : Rang Sapno ke (Pg. 99)
- Author : Pramod Sharma 'Asar'
- Publication : Amrit Parkashan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.