zaKHm-e-jigar unhen bhi dikha lun to chain lun
zaḳhm-e-jigar unheñ bhī dikhā luuñ to chain luuñ
is hausle kī daad bhī pā luuñ to chain luuñ
kyūñkar taḌap taḌap ke guzārī tamām raat
ye mājrā unheñ bhī sunā luuñ to chain luuñ
ye to bajā ki farq nahīñ husn-o-ishq meñ
un ko bhī ham-ḳhayāl banā luuñ to chain luuñ
sahrā-navardiyoñ se to bezār huuñ magar
kuchh faiz bhī junūñ se uThā luuñ to chain luuñ
har shaḳhs kā mazāq yahāñ hai judā judā
mahfil pe apnā rang jamā luuñ to chain luuñ
hāsil to ho sakegā na kuchh kū-e-ishq meñ
qismat meñ Thokareñ jo haiñ khā luuñ to chain luuñ
vo daad de rahe haiñ mujhe iztirāb kī
kuchh ban chalī hai baat banā luuñ to chain luuñ
'sāhir' jinhoñ ne mujh ko satāyā hai aaj tak
thoḌā sā maiñ bhī un ko satā luuñ to chain luuñ
zaKHm-e-jigar unhen bhi dikha lun to chain lun
is hausle ki dad bhi pa lun to chain lun
kyunkar taDap taDap ke guzari tamam raat
ye majra unhen bhi suna lun to chain lun
ye to baja ki farq nahin husn-o-ishq mein
un ko bhi ham-KHayal bana lun to chain lun
sahra-nawardiyon se to bezar hun magar
kuchh faiz bhi junun se uTha lun to chain lun
har shaKHs ka mazaq yahan hai juda juda
mahfil pe apna rang jama lun to chain lun
hasil to ho sakega na kuchh ku-e-ishq mein
qismat mein Thokaren jo hain kha lun to chain lun
wo dad de rahe hain mujhe iztirab ki
kuchh ban chali hai baat bana lun to chain lun
'sahir' jinhon ne mujh ko sataya hai aaj tak
thoDa sa main bhi un ko sata lun to chain lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.