zaKHm-e-ummid bhar gaya kab ka
zaḳhm-e-ummīd bhar gayā kab kā
qais to apne ghar gayā kab kā
ab to muñh apnā mat dikhāo mujhe
nāseho maiñ sudhar gayā kab kā
aap ab pūchhne ko aa.e haiñ
dil mirī jaan mar gayā kab kā
aap ik aur niiñd le liije
qāfila kuuch kar gayā kab kā
merā fihrist se nikāl do naam
maiñ to ḳhud se mukar gayā kab kā
zaKHm-e-ummid bhar gaya kab ka
qais to apne ghar gaya kab ka
ab to munh apna mat dikhao mujhe
naseho main sudhar gaya kab ka
aap ab puchhne ko aae hain
dil meri jaan mar gaya kab ka
aap ek aur nind le lije
qafila kuch kar gaya kab ka
mera fihrist se nikal do nam
main to KHud se mukar gaya kab ka
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 32)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.