zaKHm ka chehra sanwarta jae hai
zaḳhm kā chehra sañvartā jaa.e hai
rang zaḳhmoñ kā nikhartā jaa.e hai
shām-e-ġham ik shaḳhs se milne ke baa'd
dard mīThā sā ubhartā jaa.e hai
daf pe pattoñ ke thiraktā har parind
sūfiyāna rang bhartā jaa.e hai
maz.haboñ ne jab se phailā.e haiñ paañv
mulk firqoñ meñ bikhartā jaa.e hai
jugnuoñ kā qāfila dekho 'shafīq'
phuul phal meñ nuur bhartā jaa.e hai
zaKHm ka chehra sanwarta jae hai
rang zaKHmon ka nikharta jae hai
sham-e-gham ek shaKHs se milne ke ba'd
dard miTha sa ubharta jae hai
daf pe patton ke thirakta har parind
sufiyana rang bharta jae hai
mazhabon ne jab se phailae hain panw
mulk firqon mein bikharta jae hai
jugnuon ka qafila dekho 'shafiq'
phul phal mein nur bharta jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.