zaḳhm khā ke muskurānā aa gayā
vasf ye bhī shā.irāna aa gayā
tāqche meñ ik duā rakkhī ga.ī
ik diye ko sar chhupānā aa gayā
phuul taaza hī sahī gul-dān meñ
dard kamre meñ purānā aa gayā
dekh lo chup-chāp uTh ke chal diye
dekh lo rishta nibhānā aa gayā
dekhiye ye 'najm' kūcha hai vahī
dekhiye sāhib Thikāna aa gayā
zaKHm kha ke muskurana aa gaya
wasf ye bhi shairana aa gaya
taqche mein ek dua rakkhi gai
ek diye ko sar chhupana aa gaya
phul taza hi sahi gul-dan mein
dard kamre mein purana aa gaya
dekh lo chup-chap uTh ke chal diye
dekh lo rishta nibhana aa gaya
dekhiye ye 'najm' kucha hai wahi
dekhiye sahib Thikana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.