zaKHm khate hain aur muskuraate hain hum
zaḳhm khāte haiñ aur muskurāte haiñ ham
hausla apnā ḳhud āzmāte haiñ ham
aa lagā hai kināre safīna magar
shor to ādatan hī machāte haiñ ham
ham jo Dūbeñ to koī na phir bach sake
aisā sāgar meñ tūfāñ uThāte haiñ ham
chuur kar bhī chuke dil ke shīshe ko vo
apnī himmat hai phir choT khāte haiñ ham
be-ruḳhī se jo dil toḌ dete haiñ 'josh'
un ke hī pyaar ke giit gaate haiñ ham
zaKHm khate hain aur muskuraate hain hum
hausla apna KHud aazmate hain hum
aa laga hai kinare safina magar
shor to aadatan hi machate hain hum
hum jo Duben to koi na phir bach sake
aisa sagar mein tufan uThate hain hum
chur kar bhi chuke dil ke shishe ko wo
apni himmat hai phir choT khate hain hum
be-ruKHi se jo dil toD dete hain 'josh'
un ke hi pyar ke git gate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.