zaKHm khati hun muskuraati hun
zaḳhm khātī huuñ muskurātī huuñ
yuuñ ġham-e-zindagī nibhātī huuñ
roz kartā hai vo jafā mujh par
aur maiñ roz bhuul jaatī huuñ
huuñ bikhartī maiñ roz hī lekin
roz ḳhud ko sameT laatī huuñ
us kī marzī nahīñ gila us se
hausla hai jo maiñ nibhātī huuñ
ab to aadat sī ho ga.ī 'rūbī'
aap apnī hañsī uḌātī huuñ
zaKHm khati hun muskuraati hun
yun gham-e-zindagi nibhati hun
roz karta hai wo jafa mujh par
aur main roz bhul jati hun
hun bikharti main roz hi lekin
roz KHud ko sameT lati hun
us ki marzi nahin gila us se
hausla hai jo main nibhati hun
ab to aadat si ho gai 'rubi'
aap apni hansi uDati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.