zaKHm ko mat kyun nahin karte
zaḳhm ko maat kyuuñ nahīñ karte
dard ḳhairāt kyuuñ nahīñ karte
rāste saa.eñ saa.eñ karte haiñ
rāste baat kyuuñ nahīñ karte
pyaar karte ho pāgaloñ kī tarah
hasab-e-auqāt kyuuñ nahīñ karte
ulTī sīdhī vazāhateñ kyā haiñ
soch kar baat kyuuñ nahīñ karte
ab mulāqāt karnā āsāñ hai
ab mulāqāt kyuuñ nahīñ karte
maiñ tumheñ jītne kī dhun meñ huuñ
tum mujhe maat kyuuñ nahīñ karte
zaKHm ko mat kyun nahin karte
dard KHairaat kyun nahin karte
raste saen saen karte hain
raste baat kyun nahin karte
pyar karte ho pagalon ki tarah
hasab-e-auqat kyun nahin karte
ulTi sidhi wazahaten kya hain
soch kar baat kyun nahin karte
ab mulaqat karna aasan hai
ab mulaqat kyun nahin karte
main tumhein jitne ki dhun mein hun
tum mujhe mat kyun nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.