zaKHm kuchh aise de ke gaya darai ka karb
zaḳhm kuchh aise de ke gayā dārā.ī kā karb
bhog rahā huuñ muddat se tanhā.ī kā karb
ye to surḳh sulagtā sūraj hī jaane hai
kitnā bhayānak hotā hai tanhā.ī kā karb
tez havā meñ taalī bajāne vaale patto
bāñjh na kar de peḌoñ ko shahnā.ī kā karb
zehn kā mere roz badal detā hai mausam
shaam Dhale sauñdhā sauñdhā añgnā.ī kā karb
rah jā kar be-chehra logoñ kī bastī meñ
masḳh-shuda āñkhoñ meñ rakh bīnā.ī kā karb
toḌ rahā hai kyuuñ mutahayyar ā.īne 'aslam'
ġhaur-talab hai terī ḳhud-ārā.ī kā karb
zaKHm kuchh aise de ke gaya darai ka karb
bhog raha hun muddat se tanhai ka karb
ye to surKH sulagta suraj hi jaane hai
kitna bhayanak hota hai tanhai ka karb
tez hawa mein tali bajaane wale patto
banjh na kar de peDon ko shahnai ka karb
zehn ka mere roz badal deta hai mausam
sham Dhale saundha saundha angnai ka karb
rah ja kar be-chehra logon ki basti mein
masKH-shuda aankhon mein rakh binai ka karb
toD raha hai kyun mutahayyar aaine 'aslam'
ghaur-talab hai teri KHud-arai ka karb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.