zaKHm likkhun ki majra likkhun
zaḳhm likkhūñ ki mājrā likkhūñ
yaad aayā hai vo to kyā likkhūñ
hausla zindagī kā kyā likkhūñ
bhuul jaane kā marhala likkhūñ
shiddat-e-ishq kā taqāzā hai
qurbatoñ ko bhī fāsla likkhūñ
us kī hamrāhī ko bayān karūñ
yā kisī ḳhaak se havā likkhūñ
dil kī ḳhvāhish hai us ke chehre par
apnī tanhā.ī kī duā likkhūñ
ik diye kī muzāhimat dekhūñ
yā havāoñ kā faisla likkhūñ
ḳhvāhishoñ ke hujūm ko 'ādil'
us ke raste kā qāfila likkhūñ
zaKHm likkhun ki majra likkhun
yaad aaya hai wo to kya likkhun
hausla zindagi ka kya likkhun
bhul jaane ka marhala likkhun
shiddat-e-ishq ka taqaza hai
qurbaton ko bhi fasla likkhun
us ki hamrahi ko bayan karun
ya kisi KHak se hawa likkhun
dil ki KHwahish hai us ke chehre par
apni tanhai ki dua likkhun
ek diye ki muzahimat dekhun
ya hawaon ka faisla likkhun
KHwahishon ke hujum ko 'adil'
us ke raste ka qafila likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.