zaKHm mahkaen koi tir-e-nazar yaad karen
zaḳhm mahkā.eñ koī tīr-e-nazar yaad kareñ
manzil-e-hijr pe kyā ranj-e-safar yaad kareñ
phir pukāre hai kahīñ mahmil-e-lailā kī jaras
phir koī fasl-e-junūñ chāk-e-jigar yaad kareñ
kis kī ḳhushbū se shab-e-vā'da havā raqs meñ hai
kyoñ munājāt-e-vafā kūcha-o-dar yaad kareñ
aao kuchh der ko is dushman-e-jāñ kī ḳhātir
be-ruḳhī oḌh ke jiine kā hunar yaad kareñ
raat bhaTke tire gesū kī shikan meñ jānāñ
tere chehre ko tilismāt-e-sahar yaad kareñ
rang phūTeñ to ḳhad-o-ḳhāl tumhāre DhūñDeñ
sang TūTeñ to koī dast-e-hunar yaad kareñ
kho gayā dāman-e-sahrā meñ 'razī' kis kā lahū
ye bagūle kise ab ḳhāk-ba-sar yaad kareñ
zaKHm mahkaen koi tir-e-nazar yaad karen
manzil-e-hijr pe kya ranj-e-safar yaad karen
phir pukare hai kahin mahmil-e-laila ki jaras
phir koi fasl-e-junun chaak-e-jigar yaad karen
kis ki KHushbu se shab-e-wa'da hawa raqs mein hai
kyon munajat-e-wafa kucha-o-dar yaad karen
aao kuchh der ko is dushman-e-jaan ki KHatir
be-ruKHi oDh ke jine ka hunar yaad karen
raat bhaTke tere gesu ki shikan mein jaanan
tere chehre ko tilismat-e-sahar yaad karen
rang phuTen to KHad-o-KHal tumhaare DhunDen
sang TuTen to koi dast-e-hunar yaad karen
kho gaya daman-e-sahra mein 'razi' kis ka lahu
ye bagule kise ab KHak-ba-sar yaad karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.