zaKHm mahke hain gul-ruKHon ki tarah
zaḳhm mahke haiñ gul-ruḳhoñ kī tarah
ham bhī zinda haiñ hasratoñ kī tarah
tum ko ḳhushbū banā ke chhoḌeñge
ham meñ bū-bās hai guloñ kī tarah
kitne chehre lagā.e phirte haiñ
aaj insān rāvanoñ kī tarah
roz āb-e-hayāt piitā huuñ
roz martā huuñ maiñ guloñ kī tarah
jis ko paalā vahī to zehn ham ko
Dastā rahtā hai nāginoñ kī tarah
taptā rahtā huuñ ret ke mānind
koī barse to bādaloñ kī tarah
ab kahāñ jaa.eñ kis tarah jaa.eñ
dard phailā hai rāstoñ kī tarah
is girānī ke daur meñ 'anjum'
apne siine haiñ maqbaroñ kī tarah
zaKHm mahke hain gul-ruKHon ki tarah
hum bhi zinda hain hasraton ki tarah
tum ko KHushbu bana ke chhoDenge
hum mein bu-bas hai gulon ki tarah
kitne chehre lagae phirte hain
aaj insan rawanon ki tarah
roz aab-e-hayat pita hun
roz marta hun main gulon ki tarah
jis ko pala wahi to zehn hum ko
Dasta rahta hai naginon ki tarah
tapta rahta hun ret ke manind
koi barse to baadalon ki tarah
ab kahan jaen kis tarah jaen
dard phaila hai raston ki tarah
is girani ke daur mein 'anjum'
apne sine hain maqbaron ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.