zaKHm par zaKHm le ke sine mein
zaḳhm par zaḳhm le ke siine meñ
lutf hai muskurā ke jiine meñ
jī ke piine meñ pī ke jiine meñ
farq hotā hai piine piine meñ
dekho dekho na ābgīnoñ meñ
tum nahā jāoge pasīnoñ meñ
paas hote hue bhī duur rahe
kuchh qarīna hai ye qarīnoñ meñ
thoḌā thoḌā gunāh ho shāyad
thoḌī thoḌī sharāb piine meñ
azm-e-sāhil hai ustuvār agar
aag lag jaane do safīne meñ
hai koī dil kā qadr-dāñ 'fayyāz'
ik ḳhazāna liye huuñ siine meñ
zaKHm par zaKHm le ke sine mein
lutf hai muskura ke jine mein
ji ke pine mein pi ke jine mein
farq hota hai pine pine mein
dekho dekho na aabginon mein
tum naha jaoge pasinon mein
pas hote hue bhi dur rahe
kuchh qarina hai ye qarinon mein
thoDa thoDa gunah ho shayad
thoDi thoDi sharab pine mein
azm-e-sahil hai ustuwar agar
aag lag jaane do safine mein
hai koi dil ka qadr-dan 'fayyaz'
ek KHazana liye hun sine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.