zaKHm sahe mazduri ki
zaḳhm sahe mazdūrī kī
saañs kahānī puurī kī
jazbe kī har koñpal ko
aag lagī majbūrī kī
chup aayā chup lauT gayā
goyā baat zarūrī kī
us kā naam laboñ par ho
saa.at ho manzūrī kī
kitne sūraj biit ga.e
rut na ga.ī be-nūrī kī
paas hī kaun thā 'aslam' jo
kareñ shikāyat duurī kī
zaKHm sahe mazduri ki
sans kahani puri ki
jazbe ki har konpal ko
aag lagi majburi ki
chup aaya chup lauT gaya
goya baat zaruri ki
us ka nam labon par ho
saat ho manzuri ki
kitne suraj bit gae
rut na gai be-nuri ki
pas hi kaun tha 'aslam' jo
karen shikayat duri ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.