zaKHm site hue muskuraate hue
zaḳhm siite hue muskurāte hue
saal guzrā hai zabt āzmāte hue
us ne rokā mujhe shahr se aate vaqt
maiñ bhī royā bahut gaañv jaate hue
aks terā hī dekhā hai maiñ ne sanam
aaj bhī baal apne banāte hue
ashk bahne lage tez dhaḌkan huī
ik ġhazal 'mīr' kī gungunāte hue
shahr pyārā hai tum ko ki tum ne kabhī
khet dekhe nahīñ lahlahāte hue
zaKHm site hue muskuraate hue
sal guzra hai zabt aazmate hue
us ne roka mujhe shahr se aate waqt
main bhi roya bahut ganw jate hue
aks tera hi dekha hai main ne sanam
aaj bhi baal apne banate hue
ashk bahne lage tez dhaDkan hui
ek ghazal 'mir' ki gungunate hue
shahr pyara hai tum ko ki tum ne kabhi
khet dekhe nahin lahlahate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.