zaKHm tumne jo diye uski dawa kaun kare
zaḳhm tum ne jo diye us kī davā kaun kare
raas tanhā.ī ke aane kī duā kaun kare
apnī ġhalatī kā na ehsās kabhī ho jis ko
aise nādān se takrār bhalā kaun kare
haiñ jo gumrāh raqīboñ kī kisī sāzish meñ
un kī dil-soz tabāhī kā patā kaun kare
ḳhuun ke saath tijārat jo kare gurdoñ kī
ab yaqīñ aise masīhā kā bhalā kaun kare
ghar basāte hī jo māñ-bāp ko kahte haiñ ġhalat
aisī aulād se ummīd-e-vafā kaun kare
qatl-o-ḳhūñ jhuuT daġhā aam ho jis bastī meñ
baat haq kī vahāñ kahne kī ḳhatā kaun kare
vaqt ab dekh ke 'ayyūb' baġhāvat kar lo
zulm zālim kā shab-o-roz sahā kaun kare
zaKHm tum ne jo diye us ki dawa kaun kare
ras tanhai ke aane ki dua kaun kare
apni ghalati ka na ehsas kabhi ho jis ko
aise nadan se takrar bhala kaun kare
hain jo gumrah raqibon ki kisi sazish mein
un ki dil-soz tabahi ka pata kaun kare
KHun ke sath tijarat jo kare gurdon ki
ab yaqin aise masiha ka bhala kaun kare
ghar basate hi jo man-bap ko kahte hain ghalat
aisi aulad se ummid-e-wafa kaun kare
qatl-o-KHun jhuT dagha aam ho jis basti mein
baat haq ki wahan kahne ki KHata kaun kare
waqt ab dekh ke 'ayyub' baghawat kar lo
zulm zalim ka shab-o-roz saha kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.