zaKHmon ke dahan bhar de KHanjar ke nishan le ja
zaKHmon ke dahan bhar de KHanjar ke nishan le ja
Aajiz Hengan Ghati
MORE BYAajiz Hengan Ghati
zaḳhmoñ ke dahan bhar de ḳhanjar ke nishāñ le jā
be-samt sadāoñ kī rif.at kā gumāñ le jā
ehsās-e-basīrat meñ ibrat kā samāñ le jā
ujḌī huī bastī se buniyād-e-makāñ le jā
shahroñ kī fazāoñ meñ lāshoñ kā ta.affun hai
jañgal kī havā aa jā jismoñ kā dhuāñ le jā
hai aur abhī baaqī tārīk safar shab kā
ugne de nayā sūraj phir chāhe jahāñ le jā
jaltī huī rātoñ kā bujhtā huā manzar huuñ
ghar aa ke kabhī 'ājiz' mujh se ye samāñ le jā
zaKHmon ke dahan bhar de KHanjar ke nishan le ja
be-samt sadaon ki rifat ka guman le ja
ehsas-e-basirat mein ibrat ka saman le ja
ujDi hui basti se buniyaad-e-makan le ja
shahron ki fazaon mein lashon ka taffun hai
jangal ki hawa aa ja jismon ka dhuan le ja
hai aur abhi baqi tarik safar shab ka
ugne de naya suraj phir chahe jahan le ja
jalti hui raaton ka bujhta hua manzar hun
ghar aa ke kabhi 'ajiz' mujh se ye saman le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.