zaKHmon se achchha ho jaun
zaḳhmoñ se achchhā ho jā.ūñ
baat karūñ halkā ho jā.ūñ
kaash mirī qīmat baḌh jaa.e
kaash maiñ kuchh mahñgā ho jā.ūñ
tere qadmoñ pe sar rakh duuñ
maiñ duniyā jaisā ho jā.ūñ
aa jā.ūñ us kī āñkhoñ meñ
aur maiñ kyā se kyā ho jā.ūñ
sab kā asar 'farhat' le luuñ
miTTī kā putlā ho jā.ūñ
zaKHmon se achchha ho jaun
baat karun halka ho jaun
kash meri qimat baDh jae
kash main kuchh mahnga ho jaun
tere qadmon pe sar rakh dun
main duniya jaisa ho jaun
aa jaun us ki aankhon mein
aur main kya se kya ho jaun
sab ka asar 'farhat' le lun
miTTi ka putla ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.