zaman makan se bhi kuchh mawara banane mein
zamāñ makāñ se bhī kuchh māvarā banāne meñ
maiñ munhamik huuñ bahut ḳhud ko lā banāne meñ
charāġh-e-ishq badan se lagā thā kuchh aisā
maiñ bujh ke rah gayā us ko havā banāne meñ
ye dil ki sohbat-e-ḳhūbāñ meñ thā ḳharāb bahut
so umr lag ga.ī is ko zarā banāne meñ
ghirī hai pyaas hamārī hujūm-e-āb meñ aur
lagā hai dasht koī rāstā banāne meñ
mahak uThī hai mire chār-sū zamīn-e-hunar
maiñ kitnā ḳhush huuñ tujhe jā-ba-jā banāne meñ
zaman makan se bhi kuchh mawara banane mein
main munhamik hun bahut KHud ko la banane mein
charagh-e-ishq badan se laga tha kuchh aisa
main bujh ke rah gaya us ko hawa banane mein
ye dil ki sohbat-e-KHuban mein tha KHarab bahut
so umr lag gai is ko zara banane mein
ghiri hai pyas hamari hujum-e-ab mein aur
laga hai dasht koi rasta banane mein
mahak uThi hai mere chaar-su zamin-e-hunar
main kitna KHush hun tujhe ja-ba-ja banane mein
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 67)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 66)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.