zamana ab ye kaisa aa raha hai
zamāna ab ye kaisā aa rahā hai
ki har badmast sambhlā jā rahā hai
jalātī hai ḳhirad sham'oñ pe sham'eñ
añdherā hai ki baḌhtā jā rahā hai
du'ā.eñ kar rahe haiñ ahl-e-sāhil
safīna hai ki Duubā jā rahā hai
magar baḌhtī nahīñ hai baat aage
zamāna hai ki guzrā jā rahā hai
bharā thā rang jis ḳhāke meñ barsoñ
vo ḳhāka yak ba yak dhuñdlā rahā hai
mohabbat aap hī manzil hai apnī
na jaane husn kyuuñ itrā rahā hai
maiñ ḳhud tasvīr bantā jā rahā huuñ
tasavvur meñ mire kaun aa rahā hai
kisī se phir mohabbat ho rahī hai
mujhe phir pyaar dil par aa rahā hai
nigāh-e-'ishq kī vus'at na pūchho
jahān-e-husn simTā jā rahā hai
judā us ko na samjho kārvāñ se
'imām' ik bāñkpan se aa rahā hai
zamana ab ye kaisa aa raha hai
ki har badmast sambhla ja raha hai
jalati hai KHirad sham'on pe sham'en
andhera hai ki baDhta ja raha hai
du'aen kar rahe hain ahl-e-sahil
safina hai ki Duba ja raha hai
magar baDhti nahin hai baat aage
zamana hai ki guzra ja raha hai
bhara tha rang jis KHake mein barson
wo KHaka yak ba yak dhundla raha hai
mohabbat aap hi manzil hai apni
na jaane husn kyun itra raha hai
main KHud taswir banta ja raha hun
tasawwur mein mere kaun aa raha hai
kisi se phir mohabbat ho rahi hai
mujhe phir pyar dil par aa raha hai
nigah-e-'ishq ki wus'at na puchho
jahan-e-husn simTa ja raha hai
juda us ko na samjho karwan se
'imam' ek bankpan se aa raha hai
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 221)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.