zamana chhoD kar ghar aa gae hain
zamāna chhoḌ kar ghar aa ga.e haiñ
tirī mahfil se uTh kar aa ga.e haiñ
haqīqat jaan lī hai terī jab se
tire ḳhvāboñ se bāhar aa ga.e haiñ
kisī ne bhejā hai paiġhām mujh ko
mirī chhat par kabūtar aa ga.e haiñ
ga.e the jītne dil phir kisī kā
dil apnā haar kar ghar aa ga.e haiñ
mire rab ne mirī āvāz sun lī
madad meñ merī lashkar aa ga.e haiñ
nahīñ māñgā kabhī ham ne sahārā
yahāñ tak apne dam par aa ga.e haiñ
zamana chhoD kar ghar aa gae hain
teri mahfil se uTh kar aa gae hain
haqiqat jaan li hai teri jab se
tere KHwabon se bahar aa gae hain
kisi ne bheja hai paigham mujh ko
meri chhat par kabutar aa gae hain
gae the jitne dil phir kisi ka
dil apna haar kar ghar aa gae hain
mere rab ne meri aawaz sun li
madad mein meri lashkar aa gae hain
nahin manga kabhi hum ne sahaara
yahan tak apne dam par aa gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.