zamana is liye lahja badal raha hai dost
zamāna is liye lahja badal rahā hai dost
hamārā vaqt zarā pīchhe chal rahā hai dost
maiñ muskurā rahā huuñ terī ruḳhsatī pe agar
to mujh meñ kaun hai jo haath mal rahā hai dost
na mil sakī mire hisse kī raushnī bhī mujhe
mirā charāġh kahīñ aur jal rahā hai dost
palīd kar ke hamāre vajūd kī miTTī
hamāre naam kā sūraj nikal rahā hai dost
batā.eñ kyā tujhe ab ḳhasta-hālī-e-dil 'rāz'
shikasta ḳhvāb ke TukḌoñ pe pal rahā hai dost
zamana is liye lahja badal raha hai dost
hamara waqt zara pichhe chal raha hai dost
main muskura raha hun teri ruKHsati pe agar
to mujh mein kaun hai jo hath mal raha hai dost
na mil saki mere hisse ki raushni bhi mujhe
mera charagh kahin aur jal raha hai dost
palid kar ke hamare wajud ki miTTi
hamare nam ka suraj nikal raha hai dost
bataen kya tujhe ab KHasta-haali-e-dil 'raaz'
shikasta KHwab ke TukDon pe pal raha hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.