zamana ke bare mein usko KHabar hai
zamāna ke baare meñ us ko ḳhabar hai
agar hai to apne se vo be-ḳhabar hai
sunāne meñ tum ko zamānā lagegā
mirā qissa-e-ġham bahut muḳhtasar hai
mire paañv thakte nahīñ hai safar se
koī to batā.e ye kaisā safar hai
yahī soch kar aa ke baiThī yahāñ par
sunā hai ki terī yahī rahguzar hai
girāyā jise maiñ ne nazroñ se apnī
vo insān to aaj tak dar-ba-dar hai
palaT kar maiñ aa jā.ūñgī terī ḳhātir
tujhe aaj merī zarūrat agar hai
sivā sabr ke aur kyā kah sakūñgī
tirī teġh ke nīche hī merā sar hai
mirā haal pūchhe hai vo aate jaate
mire ghar ke bāhar jo būḌhā shajar hai
ikaa.ī se nau tak pahuñch bhī jo jā.ūñ
dahā.ī banūñ kaise tū hī sifar hai
ajab ḳhauf kā 'anjanā' hai ye aalam
mujhe ḳhud se tujh ko zamāne se Dar hai
zamana ke bare mein us ko KHabar hai
agar hai to apne se wo be-KHabar hai
sunane mein tum ko zamana lagega
mera qissa-e-gham bahut muKHtasar hai
mere panw thakte nahin hai safar se
koi to batae ye kaisa safar hai
yahi soch kar aa ke baiThi yahan par
suna hai ki teri yahi rahguzar hai
giraya jise main ne nazron se apni
wo insan to aaj tak dar-ba-dar hai
palaT kar main aa jaungi teri KHatir
tujhe aaj meri zarurat agar hai
siwa sabr ke aur kya kah sakungi
teri tegh ke niche hi mera sar hai
mera haal puchhe hai wo aate jate
mere ghar ke bahar jo buDha shajar hai
ikai se nau tak pahunch bhi jo jaun
dahai banun kaise tu hi sifar hai
ajab KHauf ka 'anjana' hai ye aalam
mujhe KHud se tujh ko zamane se Dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.