zamana lakh samajhta ho ahmiyat meri
zamāna laakh samajhtā ho ahmiyat merī
mirī nazar meñ nahīñ koī haisiyat merī
koī to thā jo mirī zindagī se guzrā thā
batā rahī haiñ zamāne ko kaifiyat merī
maiñ saarī duniyā ko apnā hī ghar samajhne lagūñ
na koī shahr ho merā na shahriyat merī
navāzishoñ ne zamāne kī mujh ko chauñkāyā
mujhe kahāñ thī patā koī ḳhāsiyat merī
ye sher-o-shā.erī merī ye mere chand ḳhayāl
yahī asāsa mirā ye hī milkiyat merī
chhupā ke dard jo kartī rahī adākārī
samajh meñ aa ga.ī ab tum ko asliyat merī
maiñ in dukhoñ kā gila kis liye karūñ ai 'siyā'
inhī dukhoñ ne nikhārī hai shaḳhsiyat merī
zamana lakh samajhta ho ahmiyat meri
meri nazar mein nahin koi haisiyat meri
koi to tha jo meri zindagi se guzra tha
bata rahi hain zamane ko kaifiyat meri
main sari duniya ko apna hi ghar samajhne lagun
na koi shahr ho mera na shahriyat meri
nawazishon ne zamane ki mujh ko chaunkaya
mujhe kahan thi pata koi KHasiyat meri
ye sher-o-shaeri meri ye mere chand KHayal
yahi asasa mera ye hi milkiyat meri
chhupa ke dard jo karti rahi adakari
samajh mein aa gai ab tum ko asliyat meri
main in dukhon ka gila kis liye karun ai 'siya'
inhi dukhon ne nikhaari hai shaKHsiyat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.